Yahan to gham bhi

1.
Dar dar bhatakte hai arman ki tarha,
Har koi milta hai anjaan ki tarha,
Iss duniya se khushi ki aas kya rakhna,
Yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha,

2.

Us ko mera halka sa ehsaas to hai
Be-dard sahi woh meri humraaz to hai

Woh aaye na aaye mere paas lekin
Shiddat se mujhe uska intezar to hai

Abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
Mere dil mein us se milan ki aas to hai

Pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
Barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai…

3.
Kisi dard ko sambhal pana asan nhi ,
Haste hue har pal bitana asan nahi ,

Zindagi mein har koi dil mein bas nahi pata ,
Aur us base hue 1 ko bhul pana asan nahi.

4.
Bahut udas hai koi tere jane se.
Ho sake to laut aa kisi bahane se.
Tu lakh khafa sahi magar ek baar to dekh ,
Koi toot gaya hai TERE rooth jane se...

0 comments: