Dil ne tera pyar per majbur

1.
Dil ne tera pyar per majbur mujh ko kardiya

Is jaha ki har khushi se dur mujh ko kardiya
Jis qadar chaha tha dil ne pass tere aane ko
Is qadar dunya ne tujh ko mujh se dur kardiya.

2.
Muskurane ki vajah kya jane hum
Hum to unki yaad ko tazaa karte hai.
Kambakth ye hasi bhi aisi hai ki
Unki judai mein bhi ro kar muskurati hai.


3.
Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hi badal gayee najar jamaane ki,
Log kahete hai ki khush hu mai,
Lekin meri to aadat hai gum me muskurane ki.

4.
Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi,
Aapke har gham ne bhi sukoon diya,
Hum zinda hai toh yeh jaankar k pyarse na sahi par,
Aapne hume yaad toh kiya…

0 comments: