Kya zamana tha hum roz

1.
Kya zamana tha hum roz mila karte the
Raat bhar chand ke hamrah chala karte the

Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai
Kabhi is saksh se hum beintehan mohhabat kiya karte the.

2.
Apno ke situm hamse batlaye nahi jate
Ye hadse woh hai jo samjhaye nahi jate

Ek umr ki kosish se bhula di hai teri yaad
Lekin teri yaad ke saye ab bhi nahi jate

3.
Unki Tasvir ko seene se laga lete hai,
Is tarah judai ka gam mita dete hai,

Kisi tara kabhi unka zikr ho jaye,
To bheegi palko ko juka lete hai.


4.
Kismat ruth gayi
Dil ke tar tut gaye

Aap jo ruth gaye
Sapne bhi tut gaye

Baki rahe khazane mein do aasu
Yaad aapki aayi to wo bhi tut gaye..

0 comments: