Mehfil na sahi tanhai

Mehfil na sahi tanhai to milti hai...
Milan na sahi judai to milti hai...

Kaun kehta hai mohabbat mein kuch nahi milta...
Wafa na sahi bewafai to milti hai...

......................................................





Gujare the jo lamhe tere sath,
Talash unhe yeh nazar bar bar karti hai,
Gum nahi jo kismat ne juda kar diya,
Teri judai bhi to hamse pyar karti hai.

......................................................





Usko chaha bhi to izhaar karna na aaya,
Kat gayi umr saari hamein pyar karna na aaya.

Usne manga bhi agar kuch to judai mangi,
Aur hamein inkar karna bhi na aaya!

......................................................

Ik zara si bhool khata ban gayi,
Meri vafai hi meri saza ban gai,
Dil liya aur khel kar tod diya,
Hamari jaan gai unki adaa ban gai.

0 comments: